Homemade Gulab Jamun Recipe | Diwali Special Mithai | Maawe Ke Gulab Jamun

Quick Gulab Jamun Recipe

Diwali Special
Gulab Jamun

Diwali tyohar ki baat ho aur Mithai ki baat na ho, esa ho nahi sakta. Mughe aaj bhi yad hai jab mai choti thi to Diwali ka naam sunte hi mere man mai Gulab Jamun yad aane lagta tha. Gulab Jamun Diwali Special Mithai hai jo ki sab mehmano ko bhi bahut pasand ati hai. To aaj mai apse ghar pe Gulab Jamun banane ki recipe share karungi.

Gulab Jamun Recipe Ingredients :

  1. Maawa 250g
  2. Paneer 100g
  3. Maida 0.5 cup
  4. Kaju 7-8 pieces, Kate hue
  5. Saugi 20 pieces
  6. Ilaichi Powder 1/4 tsp
  7. Ghee, For Frying
  8. Sugar 3 cup, Chaashni ke liye
Diwali Special Paneer Tikka Recipe : Click Here

Gulab Jamun Recipe Process

For Chaashni :
  1.  Ek pan mai chini daal le, usme 1.5 cup paani daal le. Ab gas pe ubalna rakh de.
  2. Ise itna pakaye, ki ek taar ki chaashni ban jaye, dhyan rakhe patla na rahe. Hath se chipakni chahiye. 
For Gulab Jamun :
  1. Dough banane ke liye ek bartan lele, usme maawa, paneer aur maida add karlein. 
  2. In chizo ko ache se masalte hue soft dough banaye. Ekdum aate ki tarah chikna hojana chahiye. 
  3. Sabhi dry fruits ko kaat kar, aur ilaichi powder dalkar mix karlein.
  4. Ab dough mai se ek chota piece lekar usme thoda sa dry fruit mixture bharlein. Aur ise gol aakaar mai bana le. Dhyaan rahe ki Cracks nahi aane chahiye.
  5. Ek kadhai le aur usme ghee garam karlein. Ghee medium garam hona chahiye.
  6. Ab isme pehle ek ball dalkar fry karle, Check karlein ki fatte nahi. 
  7. Ab ek ek karke sabhi balls fry karne ke liye daal laein, aur tabtak fry kare jabtak Brown nahi hojate.
  8. Dhyan rakhiye ki gas aapki medium flame par ho.
  9. Sabhi brown hojane par inhe nikaal le aur apni garam garam chaashni mai daal lein.
  10. In garma garam aur swaadisht gulab jamun ko paros lein.
Mai chahungi aap sabki diwali shubh aur khushiyon se bhari ho, aur aap agar kuch recipe suggest karna chahe to zarur kar sakte hai. Follow karlijiye nayi nayi Food Recipes ke liye.

Diwali Special Food : Gulab Jamun Recipe

Comments

Popular posts from this blog

Paneer Tikka On Tawa Recipe(Hindi) | Diwali Special Paneer Tikka Recipe | Quick Paneer Tikka Recipe

Veg Cheese Burger Recipe|Homemade Veg Burger|Bhartiya Kitchen

My Favourite Diwali Special Food | 5 Best Diwali Dishes