Paneer Tikka On Tawa Recipe(Hindi) | Diwali Special Paneer Tikka Recipe | Quick Paneer Tikka Recipe

Paneer Tikka Recipe In Hindi - North India ki ye bahut hi zada Lokpriya Starter hai, Ghar me Paneer Tikka banana mushkil hai. Aaj apko bahut asaan tarika batungi ki kese aap Ghar pe Paneer Tikka On Tawa bana sakti hain.
Paneer Tikka Recipe
Paneer Tikka Recipe

Paneer Tikka On Tawa

Ingredients

Prep Time : 3 Hours
Cook Time : 25 Minutes

Paneer Tikke Ke Liye
  • 200 gram Paneer 1 inch ke pieces mai cut kiye hue
  • 1/3 cup Shimla Mirch 1inch ke tukdo mai kata hua
  • 1/3 cup lal shimla mirch 1inch ke tukdo mai kata hua
  • 1/3 cup peela shimla mirch 1inch ke tukdo mai kata hua
  • 1/2 cup pyaaz 1inch ke tukdo mai kata hua
  • 1/3 cup tamatar 1inch ke tukdo mai kata hua
  • 2-3 table spoon oil
Manirade Ke Liye
  • 1 cup dahi
  • 1.5 tea spn lal mirch powder 
  • 1/2 tea spn jeera powder
  • 1 tea spn dhaniya powder
  • 1/2 teaspoon garam masala
  • 1/2 teaspoon sonf ka powder
  • 1 tea spn chaat masala
  • 1 tea spn aamchur powder
  • 1/4 tea spn kali mirch powder
  • 1 tea spn kasoori methi
  • namak swad anusaar
  • 1 te spn adrak ki past/kaddukas kiya hua
  • 1 tea spn lasan ki past/kaddukas kiya hua
  • 1.5 tea spn nimbu ka ras
Parosne ke Liye
  • nimbu ki cheere
  • hari dhaniya chutney/pudine ki chutney

Instructions

Paneer Marinate Karne Ke Liye :
  • Dahi ko ek patle rumaal mai le, aur ek badhi channi mai rakhe. Niche badha sa bowl ya jug rakhe taki dahi se nikla pani jama hojaye.
  • 1 ghanta fridge me rakhde , dahi mai sara pani nikal jayega.
  • Aapko Hung Curd, yani gaadha dahi milega jise ek bowl me le lijiye.
  • Marinade ke sare namak, masale daal lijiye. Ache se mix karlijiye.
  • Adrak lasun ki paste dalni hai ab, Nimbu ka ras bhi. 
  • Paneer aur Vegetable ko 1 inch ke tukdon mai kaat lena hai.
  • Yeh sabhi curd ke micture me daldena hai.
  • Saavdhani se mix karlein aur sab peices pe ache se marinade laga dena hai. 
  • Ise dhak kar kam se kam 2 ghante fridge mai rehnde de marinate hone ke liye.
  • Kuch ghante zada rakhlein, to bhi chalega.
Paneer Tikka Banaye
  • Agar aapk yaha steel stick use kar rahe hai to sahi hai, agar wood stick hai to ise 15 minute pani mai bhigoye.
  • Baking Tray pe aluminium foil bicha le. Zaruri nahi hai ye tikke ke liye, par baad mai dhualyi mai aasani rahegi. Foil ke upar oil laga lijiye.
  • Ab stick par apna paneer aur sabzi laga lijiye. Har paneer ke bich barabar matra lagayenge to zada bdhiya tayar hoga.

Chaliye banate hai Paneer Tikka Tawe Par -  

  • Tikka par oil laga le
  • Madhyam/Moderate gas par tawe ko garam karle. Non Stick Tawa ho to behtar hai
  • Tawa garam hojaye to tikka ispe rakhe aur pakaye.
  • Ek side se golden dikhne lage to side change karde, Is tarah se charo taraf se paka le.
  • Ab tawe se utar le aur Garma garam paros le.
Diwali Special Food Check Kijiye - Click Here

To ye thi lazeez Paneer Tikke Ki Recipe, agar aapke pass koi sughav ya koi demand ho to zarur se comment kare. Aur hamare is chote se blog family ko follow zarur kare.

Comments

Popular posts from this blog

Veg Cheese Burger Recipe|Homemade Veg Burger|Bhartiya Kitchen

My Favourite Diwali Special Food | 5 Best Diwali Dishes