Posts

Showing posts from November, 2018

Veg Cheese Burger Recipe|Homemade Veg Burger|Bhartiya Kitchen

Image
Namashkar dosto, Aaj mai aapke liye ek ese snack ki recipe layi hu jo chote badhe sabki favourite hai. Ye hai Veg Cheese Burger Recipe. Muh mai pani to aa hi gaya hoga, to chaliye dekhte hai isse kese tayar karna hai. Veg Cheese Burger Ingredients of Veg Cheese Burger 4 halved burger buns 1/2 finely chopped capsicum ( green pepper) 2 tablespoon sweet corns 80 gm shredded cabbage 2 tablespoon refined oil 2 pinches black pepper powder 1/2 gm sliced tomato 4 medium cheese slices 1 1/2 small finely chopped carrot 1 sliced onion 1 tablespoon butter 2 pinches salt 2 teaspoon tomato ketchup 1/2 medium sliced cucumber HOW TO MAKE VEG CHEESE  BURGER 1.   Veg Cheese Burger banane ke liye, ek pan medium flame par rakhe aur usme oil garam karein. Jab oil thik se garam hojaye, chopped onion, carrots, capsicum daal le aur inhe paka lein kuch der. Ab tomato ketchup add karlein aur ache se hila le. Jab ache se pakk j...

Paneer Butter Masala Recipe In Hindi | Food Recipe In Hindi | Bhartiya Kitchen

Image
Hello dosto, Aaj hum aap sabse us sabzi ki recipe share karne ja rahe hain, jo India ke log, specially North India ke log to bahut hi Chatkare lekar khate hai, Ye hai  Paneer Butter Masala . Aam karke log kya karte hai, ye sabzi mangwate hai dhabe ya hotel se. Kyuki logon ka manna hai ye Vyanjan ghar pe nahi ban sakta, To aaj apko ye recipe bata kar apko khush karna chahti hu. Chaliye apko batau mai Homemade Paneer Butter Masala Recipe . Acha ek aur baa, ise hum Punjabi Paneer Butter Masala bhi kehte hai. Paneer Butter Masala Paneer Butter Masala Ingredients : 250g Paneer, 1 inch ke cubes katte hue 2 madhyam pyaz, barik katte hue 1.5 tspn adrak barik kata hua 3-4 lassun ki kaliyan 3 madhyam tamatar 6-8 kaju, 15 min pani mai bhigoye hue 1 chota tukda tezpatta 2 hari mirch, lambi kati hui 1/2 cup milk(full fat) 2 tspn kasoori methi 1/2 tspn garam masala powder 1 tablespn dhaniya powder swad anusar lal mirch powder 2 tablespn taza cream ( malai bhi chal ...

Homemade Gulab Jamun Recipe | Diwali Special Mithai | Maawe Ke Gulab Jamun

Image
Quick Gulab Jamun Recipe Gulab Jamun Diwali tyohar ki baat ho aur Mithai ki baat na ho, esa ho nahi sakta. Mughe aaj bhi yad hai jab mai choti thi to Diwali ka naam sunte hi mere man mai Gulab Jamun yad aane lagta tha. Gulab Jamun Diwali Special Mithai hai jo ki sab mehmano ko bhi bahut pasand ati hai. To aaj mai apse ghar pe Gulab Jamun banane ki recipe share karungi. Gulab Jamun Recipe Ingredients : Maawa 250g Paneer 100g Maida 0.5 cup Kaju 7-8 pieces, Kate hue Saugi 20 pieces Ilaichi Powder 1/4 tsp Ghee, For Frying Sugar 3 cup, Chaashni ke liye Diwali Special Paneer Tikka Recipe : Click Here Gulab Jamun Recipe Process :  For Chaashni :  Ek pan mai chini daal le, usme 1.5 cup paani daal le. Ab gas pe ubalna rakh de. Ise itna pakaye, ki ek taar ki chaashni ban jaye, dhyan rakhe patla na rahe. Hath se chipakni chahiye.  For Gulab Jamun : Dough banane ke liye ek bartan lele, usme maawa, paneer aur maida add karlein. ...